Pages

Sunday 19 February 2012

बाबा की बातें

Kabhi hath mein chhari ka tukra le दौराते
Kabhi chasme ko apne wo सँभालते
Kabhi mujhpe wo चिल्लाते
Agle hi pal gale bhi hamein wo लगाते


Ye bachpan ke un dino ki hai बातें
Jab dada hamein pyar se pota kah पुचकारते
Pattha kah hamein pahalwaan बुलाते



Gaon ke dhhool bhare rashto पर
Unhe race mein hara kar हम
Jab Khoob khushi se चिल्लाते
Tab dada hamein pitthiyaan चढाते

Chhath ke samay gaon jane par special घी
Aur mattha wo mujhe khoob पिलाते
Dhoop mein apne badan par karuwa tel wo मल्वाते
Aur khush ho kar mujhe apna sher wo बुलाते



Aaj freezer mein padi hui green peas ki packet देख
Yaad aaya ki bhhol hi gaya unse bichhad के
Wo hari bhari matar ke wo छिलके
Jinhe kheto se kabhi lakar wo hamein खिलाते


Kahte khao thel ke aur suto pel के
Ahsru bas ruk hi nahi रहे
Bichhad gayen, ban mitti wo kisi bel के


Aaj ye sher kitne hi sahero ki gali में
Tie Pahine Geedar ban ghoomta है
Mujhe maaloom hai Baba jinda होते
To shayad ye dekh na पाते...

No comments:

Post a Comment