Pages

Sunday 19 February 2012

बाबा की बातें

Kabhi hath mein chhari ka tukra le दौराते
Kabhi chasme ko apne wo सँभालते
Kabhi mujhpe wo चिल्लाते
Agle hi pal gale bhi hamein wo लगाते


Ye bachpan ke un dino ki hai बातें
Jab dada hamein pyar se pota kah पुचकारते
Pattha kah hamein pahalwaan बुलाते



Gaon ke dhhool bhare rashto पर
Unhe race mein hara kar हम
Jab Khoob khushi se चिल्लाते
Tab dada hamein pitthiyaan चढाते

Chhath ke samay gaon jane par special घी
Aur mattha wo mujhe khoob पिलाते
Dhoop mein apne badan par karuwa tel wo मल्वाते
Aur khush ho kar mujhe apna sher wo बुलाते



Aaj freezer mein padi hui green peas ki packet देख
Yaad aaya ki bhhol hi gaya unse bichhad के
Wo hari bhari matar ke wo छिलके
Jinhe kheto se kabhi lakar wo hamein खिलाते


Kahte khao thel ke aur suto pel के
Ahsru bas ruk hi nahi रहे
Bichhad gayen, ban mitti wo kisi bel के


Aaj ye sher kitne hi sahero ki gali में
Tie Pahine Geedar ban ghoomta है
Mujhe maaloom hai Baba jinda होते
To shayad ye dekh na पाते...

Saturday 18 February 2012

यूँ ही

Manav jeevan bhi kuchh ajib है
Path par chalta, karm karta है
Aur kahta hai ye to sab nasib है
Is nasib ke उधेरबुन mein गुम
karm ke nashe mein धुत
Lakshya ko pate use चूम-चूम
Aur kahta hai ham to sirf hai ek बुत
Mein bhi shayad hoon ek aam मानव
Kanto bhari path par chalte चलते
Path ko khoon se kar लथपथ
Leta hoon har roj ek शपथ
Ki aaj kuchh achha kar जाऊंगा
Manavta ke hit mein had se gujar जाऊंगा


Par hoon to sirf ek कठपुतली
Sham ko fir se agli subah को
Kuchh karne ka le man mein ठान
Chahe ismein deni pare na kyo प्राण
Yun  hi So jata हूँ
Agli subah fir se chalna shuru karta हूँ
Patthro ko Thokro se maar कर
Kankar kankar karta हूँ
Inhi mein se ek kankar ko fir Shankar kahta हूँ

Kyo ki hoon to sirf ek aam मानव
Ishwar ki is jatil rachna mein खोके
Halka karta hoon man ko bas haule se रोके
Jeevan Yatra yun hi lambi hoti जाती
Aur musafir ban, उस path par भटक
Thak jata hoon, Antkaal aane पर
Ban jate hoon sirf रख
Aur jeevan ke isi  raah ke kisi kone में
Rakh se Mitti fir ban jata हूँ
Karm ke naam par sirf ek path को
Pagdandi se raah kar jata हूँ...