Pages

Monday 9 January 2012

पथिक

Jindagi ke wo din bhi kuchh ajib थे
Jab 50 paise ke rasgulle mein hi ham amir थे
Aaj 50 dollar ke buffet mein bhi maja nahi आता
Shayad mein badal gaya ya समय
Par in sabme wo baat nahi ye samajh mein hai आता
Path par bhatke rahi ki तरह
Chalta hi rahta hoon में
Sochta hoon dollar ke bina hi kitne khushnasib थे

kabhi paidal aur kabhi cycle पर
Galiyon ke chkkar katne mein maja aata था
Aaj freeway par lambi gari mein ye sochta हूँ
Laut chalun un bachpan ki bhul bhilyaan में
Matric mein first divison lane पर
Wo papa ka seena chaura करना
Wo mummy ka layak beta ban जाना
Aur magan ho ke yaaron ke sath घूमना

Kandhe par basta aur hath mein पोथा
Kash usi awargi ka pathik mai होता
Par ye success ki bhookh hai ya paise की
USD kamane pata nahi kaha chala आया
Jeevan Ek sadyantrakari ki tarah chaal chal रहा
Mein ek sidhe sadhe balak ki tarah pag par bad रहा
Pata hi nahi chala kab itna badh aaya युही
Ki Apano ka sath door kahi chhod आया...

No comments:

Post a Comment